Vrindavan: Bhakti aur Prem ki Anant Nagri

1. Bhumika – Vrindavan ka Mahatmya
Vrindavan wo pavitra dham hai jahan Bhagwan Shri Krishna ne apne ballyakal aur kishoravastha ki anek madhur leelayen ki thi. Ye dham sirf ek bhaugolik sthal nahi hai, balki Sanatan Dharma ki atma aur bhakti ka kendr mana jata hai. Vaishnav acharya ise “Bhakti ki Rajdhani” kehte hain.Yahan ke kan-kan, vriksh, vayu aur Yamuna ji ka jal – sabme Krishna aur Radharani ki divya upasthiti ka anubhav hota hai. Sant kehte hain ki Vrindavan sirf dharti par hi nahi, balki Shri Krishna ke hriday mein sadaiv sthit hai.

2. Vrindavan shabd ka arth aur mahatva
“Vrindavan” do shabdon se milkar bana hai:
Vrinda – Tulsi Devi, jo bhakti aur Shri Krishna ki upasana se judi hain.
Van – van ya bagicha.Arth hua – “Tulsi ke van se yukt pavitra sthal”.
Puranon me kaha gaya hai ki jab Brahma ji ne srishti rachna ki, tab devtaon ne prarthana ki thi ki prithvi par ek aisa sthal ho jahan divya bhakti ka prabhaav bana rahe. Tab Vrinda Devi ke madhyam se ye dham prakat hua.

3. Shaastriya pramaan (Veda, Puran, Smriti)
Rigveda aur Samaveda – Yamuna tat, Govardhan aur Gokul ki mahima ka gayan.
Shrimad Bhagavat Mahapuran – Krishna ki Vrindavan leela ka vistar.
Brahmavaivarta Puran – Vrinda Devi aur Tulsi ki mahima.
Padma Puran – likha hai ki Vrindavan mein pravesh ke liye Mahalakshmi bhi tapasya karti hain.
Garuda Puran – Vrindavan mein sadhna karne se sab paap nasht hote hain.
4. Bhagavat Mahapuran me Vrindavan Varnan
Dasam Skandh me likha hai ki kaise Nand Baba apne parivar aur gval-baal ke saath Gokul se Vrindavan aaye.
Vrindavan ka vatavaran:Sugandhit pushpon se bhare van Koyal aur mayur ki madhur Dhun yamuna ji ki kal-kal Dhara govardhan parvat ki Shobha ye sab milkar Vrindavan ko divya anand dham bana dete hain.
5. Vrinda Devi aur Tulsi ka sambandh
Vrinda Devi, jo asur raj Jalandhar ki patni thi, apne pati ke vrat ke liye Vishnu bhakti karti thi. Baad me unke sharir se Tulsi ka janm hua. Shri Krishna ne aashirvad diya ki jahan Tulsi hogi, wahan bhakti ke alawa aur kuch phal nahi milega. Isi liye Vrindavan ko “Tulsi Van” kaha jata hai.
6. Shri Krishna ki Balya Leelayen
Gopbalakon ke sang khel – Krishna Sudama, Madhumangal, Balram ke saath gay charate aur khelte.
Kaliya Daman – Yamuna ke vishakto nag ko Krishna ne apne charanon se shant kiya.
Govardhan Pooja – Krishna ne chhoti ungli par Govardhan parvat uthakar sabko Indra ke krodh se bachaya.
Rasleela – Gopiyon ke saath nitya ras ka aayojan, jo prem aur bhakti ka uchch aadarsh hai.
7. Vrindavan ka Prakatya Kab aur Kaise Hua
Srishti kaal – Brahmavaivarta Puran ke anusar, Vrindavan Bhagwan ke dhama ka ans hai.
Satyug – Vedvyas ji ne tapasya ki.
Tretayug – Shri Ram aur Sita ji yahan aaye aur Govardhan ko pranam kiya.
Dwapar yug – Shri Krishna ne yahan apne leela khel karke isse vishwa prasiddh banaya.
Kaliyug – 500 saal pehle Chaitanya Mahaprabhu ne Vrindavan ke sthalon ko punah prakat kiya aur bhakti ka kendra banaya.
8. Acharya aur Sant Parampara
Shri Chaitanya Mahaprabhu – Sankirtan aandolan shuru kiya.
Roop-Sanatan Goswami – purane mandir aur tirth sthalon ko prakat kiya.
Meerabai – apni bhakti se Vrindavan mein alakh jagayi.
Hit Harivansh Ji – Rasleela ki parampara sthapit ki.Aur bhi Surdas, Narottam Das Thakur jaise santon ne Vrindavan ki mahima gaye.
9. Vrindavan ke Pramukh Tirth
1. Banke Bihari Mandir – Vrindavan ka hriday.
2. Radharaman Mandir – Roop Goswami dwara sthapit.

3. Seva Kunj aur Nidhivan – jahan abhi bhi rasleela ki adrishya parampara chalti hai.
4. Govardhan Parvat – parikrama aur Annakoot utsav ka kendr.
5. Yamuna ji – bhakti ki aadharshila.
6. Prem Mandir & ISKCON Mandir – aadhunik kal ka bhakti dham.